Wo bhi kya din they
wo bhi kya din they, wo bhi thi raatein,
wo kya they nagmey, wo nautanki bhari baatein.
wo tha cheekhna, wo bhi tha chillana,
wo sabkey saamney doosrey ki zabardast waat lagana,
wo tikhi hasi, wo senti sama,
wo ghaayal parwaana, wo jalti shama.
wo raat bhar bahar baith kar suttey ke kash lagana,
wo baju baithi ladki se chupke-chupke aakh ladana,
wo tirchi nazar jo dhoondti hai usey,
wo num aakhey jismain aansoon hain basey,
wo naachna, wo gaana,
wo whiskey soda pee ke party main dhoom machaana,
wo birthday ke din buri tarah maar khaana,
wo lena chutti college se bana kar isey bahana.
wo jaagi hui raatein,wo vyastata bharey din,
wo dil main machi hulchul,na jee sakenge unkey bin.
wo badappan ke din ka pehla pyar,
wo tadapti hui raatein jab laga dil pe waar.
wo picture hall main item number par seeti bajana,
wo diwali ke din ghar ko diye se sajana,
wo ghar jaaney ka mahino pehley se plan banana,
wo ghar jaa kar waapas time par na aana.
sirf reh gai hain yaadein jaisey tasweer purani ho deewaron pe,
reh gaye hain nishaan jo baney ho pathar ki lakeero se,
bus ab soch ke khush ho jaata hoon, bus yeh soch ke yeh geet gaata hoon,
aur kabhi-kabhi sapno main un haseen palo main chala jaata hoon.
wo bhi kya din they, wo bhi thi raatein,
wo kya they nagmey, wo nautanki bhari baatein,
wo kya they nagmey, wo nautanki bhari baatein.
3 comments:
nice...bahut badhiya sir ji..
Cheers!!!
kya baat hai... par ye sutta kab shuru kar dia tune?
You have really great taste on catch article titles, even when you are not interested in this topic you push to read it
Post a Comment